soe armanon ko jagaya kis ki husn-arai ne
so.e armānoñ ko jagāyā kis kī husn-ārā.ī ne
kis ke partav se raushan haiñ dil ke dhuñdle ā.īne
mahfil mahfil kyoñ na tumhāre tīr-e-nazar kā charchā ho
kitnī duā.eñ diiñ haiñ dil ke zaḳhmoñ kī gahrā.ī ne
maiñ jis jānib bhī muḌtā huuñ un ko sāmne paatā huuñ
saare parde toḌ diye haiñ is dil kī bīnā.ī ne
dil ke sahrā se phir guzrā qāfila un kī yādoñ kā
kaise kaise jashn manā.e aaj mirī tanhā.ī ne
nādānī meñ Duub mare jo un kā rañj bhalā kis ko
lekin jin ko qatl kiyā hai ḳhud apnī dānā.ī ne
kuchh to 'na.īm' is gulshan kī ab ahl-e-zabāñ bhī fikr kareñ
jis ko sañvārā 'mīr'-o-'anīs'-o-'ġhālib' aur 'mīnā.ī' ne
soe armanon ko jagaya kis ki husn-arai ne
kis ke partaw se raushan hain dil ke dhundle aaine
mahfil mahfil kyon na tumhaare tir-e-nazar ka charcha ho
kitni duaen din hain dil ke zaKHmon ki gahrai ne
main jis jaanib bhi muDta hun un ko samne pata hun
sare parde toD diye hain is dil ki binai ne
dil ke sahra se phir guzra qafila un ki yaadon ka
kaise kaise jashn manae aaj meri tanhai ne
nadani mein Dub mare jo un ka ranj bhala kis ko
lekin jin ko qatl kiya hai KHud apni danai ne
kuchh to 'naim' is gulshan ki ab ahl-e-zaban bhi fikr karen
jis ko sanwara 'mir'-o-'anis'-o-'ghaalib' aur 'minai' ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.