soe hue jazbon ko jagana hi nahin tha
so.e hue jazboñ ko jagānā hī nahīñ thā
ai dil vo mohabbat kā zamāna hī nahīñ thā
mahke the charāġh aur dahak uTThī thiiñ kaliyāñ
go sab ko ḳhabar thī use aanā hī nahīñ thā
dīvār pe vā'doñ kī amar-bel chaḌhā dī
ruḳhsat ke liye aur bahāna hī nahīñ thā
uḌtī huī chingāriyāñ sone nahīñ detīñ
rūThe hue is ḳhat ko jalānā hī nahīñ thā
nīñdeñ bhī nazar band haiñ tā'bīr bhī qaidī
zindāñ meñ koī ḳhvāb sunānā hī nahīñ thā
paanī to hai kam naql-e-makānī hai ziyāda
ye shahr sarāboñ meñ basānā hī nahīñ thā
soe hue jazbon ko jagana hi nahin tha
ai dil wo mohabbat ka zamana hi nahin tha
mahke the charagh aur dahak uTThi thin kaliyan
go sab ko KHabar thi use aana hi nahin tha
diwar pe wa'don ki amar-bel chaDha di
ruKHsat ke liye aur bahana hi nahin tha
uDti hui chingariyan sone nahin detin
ruThe hue is KHat ko jalana hi nahin tha
ninden bhi nazar band hain ta'bir bhi qaidi
zindan mein koi KHwab sunana hi nahin tha
pani to hai kam naql-e-makani hai ziyaada
ye shahr sarabon mein basana hi nahin tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.