soe huon mein KHwab se bedar kaun hai
Interesting Fact
July 1960
so.e huoñ meñ ḳhvāb se bedār kaun hai
is ālam-e-ḳhayāl meñ hushiyār kaun hai
mat pūchh us kā tālib-e-dīdār kaun hai
ye dekh mohr-bar-lab-e-guftār kaun hai
utrā hai chāñd siine meñ yā ḳhud hī jal uThe
tārīkiyoñ meñ dil kī ziyā-bār kaun hai
arz-e-hunar meñ koh-e-vafā par ho tesha-zan
de jaan nazr-e-sho.ala-e-izhār kaun hai
jo fan-tarāziyāñ qad-o-gesū kī bhāñp le
jo jāñch le qayāmat-e-raftār kaun hai
sab apne apne dār-o-rasan saath le chalo
pūchheñge vo ki tum meñ vafādār kaun hai
kuchh log apne ḳhuuñ meñ nahā kar chale ga.e
ab surḳh-rū-e-arsa-e-paikār kaun hai
do-gām dil kī raah pe chalnā muhāl hai
ab aur aisī vādī-e-pur-ḳhār kaun hai
patthar se aag aag se jo laa.e jū-e-shīr
tum meñ vo tesha-dār-e-fusūñ-kār kaun hai
shāyad koī paTaktā hai sar chal ke dekhiye
'bāqar' hai qais hai pas-e-dīvār kaun hai
soe huon mein KHwab se bedar kaun hai
is aalam-e-KHayal mein hushiyar kaun hai
mat puchh us ka talib-e-didar kaun hai
ye dekh mohr-bar-lab-e-guftar kaun hai
utra hai chand sine mein ya KHud hi jal uThe
tarikiyon mein dil ki ziya-bar kaun hai
arz-e-hunar mein koh-e-wafa par ho tesha-zan
de jaan nazr-e-shoala-e-izhaar kaun hai
jo fan-taraaziyan qad-o-gesu ki bhanp le
jo jaanch le qayamat-e-raftar kaun hai
sab apne apne dar-o-rasan sath le chalo
puchhenge wo ki tum mein wafadar kaun hai
kuchh log apne KHun mein naha kar chale gae
ab surKH-ru-e-arsa-e-paikar kaun hai
do-gam dil ki rah pe chalna muhaal hai
ab aur aisi wadi-e-pur-KHar kaun hai
patthar se aag aag se jo lae ju-e-shir
tum mein wo tesha-dar-e-fusun-kar kaun hai
shayad koi paTakta hai sar chal ke dekhiye
'baqar' hai qais hai pas-e-diwar kaun hai
- Book : Kulliyat-e-Baqir (Pg. 72)
- Author : Sajjad Baqir Rizvi
- Publication : Sayyed Mohammad Ali Anjum Rizvi (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.