sog hum apni tabahi ka manane lag jaen
sog ham apnī tabāhī kā manāne lag jaa.eñ
itne TuuTe bhī nahīñ haiñ ki Thikāne lag jaa.eñ
is liye ḳhud ko tire dar se juḌā rakkhā hai
kam se kam ishq ki ādāb to aane lag jaa.eñ
ham se kuchh log jo zinda na rakheñ raushaniyāñ
raushnī vaale charāġh apne bujhāne lag jaa.eñ
ham ne is umr meñ jo dard uThā rakkhe haiñ
aap agar sochne baiTheñ to zamāne lag jaa.eñ
phir to maiñ bolne lag jā.ūñgā sūraj ke ḳhilāf
chand jugnū jo mire haath meñ aane lag jaa.eñ
tū ne irshād kī ulfat kā bharam toḌā hai
jā tire pīchhe ka.ī aur divāne lag jaa.eñ
sog hum apni tabahi ka manane lag jaen
itne TuTe bhi nahin hain ki Thikane lag jaen
is liye KHud ko tere dar se juDa rakkha hai
kam se kam ishq ki aadab to aane lag jaen
hum se kuchh log jo zinda na rakhen raushaniyan
raushni wale charagh apne bujhane lag jaen
hum ne is umr mein jo dard uTha rakkhe hain
aap agar sochne baiThen to zamane lag jaen
phir to main bolne lag jaunga suraj ke KHilaf
chand jugnu jo mere hath mein aane lag jaen
tu ne irshad ki ulfat ka bharam toDa hai
ja tere pichhe kai aur diwane lag jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.