sogwaron mein azadar nahin koi bhi
sogvāroñ meñ azādār nahīñ koī bhī
ya.anī sach hai ki mirā yaar nahīñ koī bhī
ḳhud ko ik umr binā dekhe pareshān rakhā
ab jo dekhā pas-e-dīvār nahīñ koī bhī
qahqaha-vār rulāne kī riyāzat hai tirī
zindagī tujh sā jafākār nahīñ koī bhī
maiñ to yuuñ mast huā log tujhe ye na kaheñ
ki tire ishq meñ sarshār nahīñ koī bhī
aañkh likhtī hai shab-e-hijr kā ahvāl 'aqīl'
yuuñ nahīñ ishq kā aḳhbār nahīñ koī bhī
sogwaron mein azadar nahin koi bhi
yani sach hai ki mera yar nahin koi bhi
KHud ko ek umr bina dekhe pareshan rakha
ab jo dekha pas-e-diwar nahin koi bhi
qahqaha-war rulane ki riyazat hai teri
zindagi tujh sa jafakar nahin koi bhi
main to yun mast hua log tujhe ye na kahen
ki tere ishq mein sarshaar nahin koi bhi
aankh likhti hai shab-e-hijr ka ahwal 'aqil'
yun nahin ishq ka aKHbar nahin koi bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.