sohbat-e-mai-kashi sarsari rah gai
sohbat-e-mai-kashī sarsarī rah ga.ī
aur jo miinā bharī thī bharī rah ga.ī
kyā ġhazab hai nasheman sulagtā rahā
aur shāḳh-e-nasheman harī rah ga.ī
āḳhirash kaam aa hī ga.ī ḳhāmushī
lafz-o-ma.anī kī parda-darī rah ga.ī
har nazar ban ga.ī apne siine kā tiir
ik ḳhalish ban ke dīda-darī rah ga.ī
nasl-e-ādam se itne uThe kirdgār
apne lab sī ke paiġhambarī rah ga.ī
aadmī kā ḳhudā ban gayā aadmī
dāvar-e-hashr kī dāvarī rah ga.ī
merā har naqsh-e-pā ban gayā sañg-e-mīl
ḳhizar kī zahmat-e-rahbarī rah ga.ī
'shor' dāmān-e-ġham ho gayā taar taar
har masarrat kī baḳhiya-garī rah ga.ī
sohbat-e-mai-kashi sarsari rah gai
aur jo mina bhari thi bhari rah gai
kya ghazab hai nasheman sulagta raha
aur shaKH-e-nasheman hari rah gai
aaKHirash kaam aa hi gai KHamushi
lafz-o-mani ki parda-dari rah gai
har nazar ban gai apne sine ka tir
ek KHalish ban ke dida-dari rah gai
nasl-e-adam se itne uThe kirdgar
apne lab si ke paighambari rah gai
aadmi ka KHuda ban gaya aadmi
dawar-e-hashr ki dawari rah gai
mera har naqsh-e-pa ban gaya sang-e-mil
KHizar ki zahmat-e-rahbari rah gai
'shor' daman-e-gham ho gaya tar tar
har masarrat ki baKHiya-gari rah gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.