Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sohbat-e-mai-kashi sarsari rah gai

Manzoor Husain shor

sohbat-e-mai-kashi sarsari rah gai

Manzoor Husain shor

MORE BYManzoor Husain shor

    sohbat-e-mai-kashī sarsarī rah ga.ī

    vo jo miinā bharī thī bharī rah ga.ī

    kyā ġhazab hai nasheman sulagtā rahā

    aur shāḳh-e-nasheman harī rah ga.ī

    āḳhirash kaam aa ga.ī ḳhāmushī

    lafz-o-ma.anī parda-darī rah ga.ī

    har nazar ban ga.ī apne siine tiir

    ik ḳhalish ban ke dīda-varī rah ga.ī

    nasl-e-ādam se itne uThe kirdgār

    apne lab ke paiġhambarī rah ga.ī

    merā har naqsh-e-pā ban gayā sañg-e-mīl

    ḳhizr zahmat-e-rahbarī rah ga.ī

    shor-e-dāmān-e-ġham ho gayā taar taar

    har masarrat baḳhiya-garī rah ga.ī

    sohbat-e-mai-kashi sarsari rah gai

    wo jo mina bhari thi bhari rah gai

    kya ghazab hai nasheman sulagta raha

    aur shaKH-e-nasheman hari rah gai

    aaKHirash kaam aa hi gai KHamushi

    lafz-o-mani ki parda-dari rah gai

    har nazar ban gai apne sine ka tir

    ek KHalish ban ke dida-wari rah gai

    nasl-e-adam se itne uThe kirdgar

    apne lab si ke paighambari rah gai

    mera har naqsh-e-pa ban gaya sang-e-mil

    KHizr ki zahmat-e-rahbari rah gai

    shor-e-daman-e-gham ho gaya tar tar

    har masarrat ki baKHiya-gari rah gai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now