soi hasrat jaga gaya koi
soī hasrat jagā gayā koī
ḳhvāb mujh ko dikhā gayā koī
chāñd bhī ab nahīñ rahā dilkash
kis qadar dil lubhā gayā koī
ba.ad muddat ke aañkh yuuñ roī
mujh ko dariyā banā gayā koī
aaj sīkhī hai dostī maiñ ne
jaan mujh par luTā gayā koī
vo samajhte the mujh ko lā-sānī
aa.ina phir dikhā gayā koī
us ne pūchhā thā merī qīmat ko
daam us kā lagā gayā koī
aaj 'shamsher' phir pareshāñ hai
dar se bhūkā chalā gayā koī
soi hasrat jaga gaya koi
KHwab mujh ko dikha gaya koi
chand bhi ab nahin raha dilkash
kis qadar dil lubha gaya koi
baad muddat ke aankh yun roi
mujh ko dariya bana gaya koi
aaj sikhi hai dosti main ne
jaan mujh par luTa gaya koi
wo samajhte the mujh ko la-sani
aaina phir dikha gaya koi
us ne puchha tha meri qimat ko
dam us ka laga gaya koi
aaj 'shamsher' phir pareshan hai
dar se bhuka chala gaya koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.