soi yaadon ko bhaDkana Thik nahin
soī yādoñ ko bhaḌkānā Thiik nahīñ
be-matlab meñ baat baḌhānā Thiik nahīñ
itnī mushkil se jo bāteñ suljhīñ haiñ
vāpas se un ko uljhānā Thiik nahīñ
muḌ kar dekhe aur taġhāful kar jaa.e
us laḌkī ke pīchhe jaanā Thiik nahīñ
ab to aisī hālat hai ki apnoñ ko
apne dil kī baat batānā Thiik nahīñ
duniyā vaale shā.ir shā.ir boleñge
kandhe par jholā laTkānā Thiik nahīñ
kūcha-e-jānāñ meñ kaafī pahre haiñ
kūcha-e-jānāñ meñ jaanā Thiik nahīñ
ham to jhuuT samajhte the lekin tum ne
sach bolā thā yaar zamāna Thiik nahīñ
soi yaadon ko bhaDkana Thik nahin
be-matlab mein baat baDhana Thik nahin
itni mushkil se jo baaten suljhin hain
wapas se un ko uljhana Thik nahin
muD kar dekhe aur taghaful kar jae
us laDki ke pichhe jaana Thik nahin
ab to aisi haalat hai ki apnon ko
apne dil ki baat batana Thik nahin
duniya wale shair shair bolenge
kandhe par jhola laTkana Thik nahin
kucha-e-jaanan mein kafi pahre hain
kucha-e-jaanan mein jaana Thik nahin
hum to jhuT samajhte the lekin tum ne
sach bola tha yar zamana Thik nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.