soKHta kashti ka malba main mera dil aur sham
soḳhta kashtī kā malba maiñ mirā dil aur shaam
ġham-zada utre hue dariyā kā sāhil aur shaam
raat ke ik pesh-ras taare kī dhaḌkan tez tez
aañkh meñ sahme hue ḳhvāboñ kī jhilmil aur shaam
ḳhastagī se chuur paañv hasrat-e-vāmāñdgī
kohr meñ Duubī huī mauhūm manzil aur shaam
āshiyāñ meñ muntazir bachchoñ kā karb-afzā ḳhayāl
rishta barpā tā.eroñ kā raqs-e-bismil aur shaam
maiñ ye kāġhaz aur ashk-ālūd sheroñ kā nuzūl
ek vaadī ek chashme kī taral-ril aur shaam
soKHta kashti ka malba main mera dil aur sham
gham-zada utre hue dariya ka sahil aur sham
raat ke ek pesh-ras tare ki dhaDkan tez tez
aankh mein sahme hue KHwabon ki jhilmil aur sham
KHastagi se chur panw hasrat-e-wamandgi
kohr mein Dubi hui mauhum manzil aur sham
aashiyan mein muntazir bachchon ka karb-afza KHayal
rishta barpa taeron ka raqs-e-bismil aur sham
main ye kaghaz aur ashk-alud sheron ka nuzul
ek wadi ek chashme ki taral-ril aur sham
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.