sona chandi hi na lae ho na gauhar lae
sonā chāñdī hī na laa.e ho na gauhar laa.e
jā ke tum chāñd se laa.e bhī to patthar laa.e
kaun sā kaam hai dushvār tasavvur ke liye
ye agar chāhe to chullū meñ samundar laa.e
vaqt kyā shai hai ḳhudāyā tirī rahmat kyā shai
log kahte haiñ ki har chiiz muqaddar laa.e
aur kuchh bhī to nahīñ paas duāoñ ke sivā
ham tire vāste jo bhī thā mayassar laa.e
ishq meñ jaan kā denā bhī abas bāteñ haiñ
ishq meñ toḌ ke koī bhī na aḳhtar laa.e
fā.ede ham hī uThā paa.e na rab to varna
apne bandoñ ke liye saiñkaḌoñ avsar laa.e
pyaar kuchh aur hī hai chiiz itā.at kuchh aur
jo mohabbat se mile vo na takabbur laa.e
yuuñ to gun-gān tire hote haiñ ghar ghar lekin
koī ab ghar meñ na baapū tire bandar laa.e
go tumhārī bhī ġhazal umda hai 'parvāz' magar
aaj kuchh sho.arā ġhazal tum se bhī behtar laa.e
sona chandi hi na lae ho na gauhar lae
ja ke tum chand se lae bhi to patthar lae
kaun sa kaam hai dushwar tasawwur ke liye
ye agar chahe to chullu mein samundar lae
waqt kya shai hai KHudaya teri rahmat kya shai
log kahte hain ki har chiz muqaddar lae
aur kuchh bhi to nahin pas duaon ke siwa
hum tere waste jo bhi tha mayassar lae
ishq mein jaan ka dena bhi abas baaten hain
ishq mein toD ke koi bhi na aKHtar lae
faede hum hi uTha pae na rab to warna
apne bandon ke liye sainkaDon awsar lae
pyar kuchh aur hi hai chiz itaat kuchh aur
jo mohabbat se mile wo na takabbur lae
yun to gun-gan tere hote hain ghar ghar lekin
koi ab ghar mein na bapu tere bandar lae
go tumhaari bhi ghazal umda hai 'parwaz' magar
aaj kuchh shoara ghazal tum se bhi behtar lae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.