sone chandi ke parastar nahin ho sakte
sone chandi ke parastar nahin ho sakte
Rahi Hameedi Chand Puri
MORE BYRahi Hameedi Chand Puri
sone chāñdī ke parastār nahīñ ho sakte
ai vatan ham kabhī ġhaddār nahīñ ho sakte
ham se ashkoñ kī tijārat nahīñ hone vaalī
ham kirā.e ke azā-dār nahīñ ho sakte
ham mohabbat ke pujārī haiñ zamāne vaalo
ham se dīvāne adākār nahīñ ho sakte
dostī ḳhud se nibāhī to ye ma.alūm huā
dost is ahd meñ do chaar nahīñ ho sakte
ḳhūñ-bahā milnā baḌī baat hai 'rāhī' in se
mere qātil bhī giraftār nahīñ ho sakte
sone chandi ke parastar nahin ho sakte
ai watan hum kabhi ghaddar nahin ho sakte
hum se ashkon ki tijarat nahin hone wali
hum kirae ke aza-dar nahin ho sakte
hum mohabbat ke pujari hain zamane walo
hum se diwane adakar nahin ho sakte
dosti KHud se nibahi to ye malum hua
dost is ahd mein do chaar nahin ho sakte
KHun-baha milna baDi baat hai 'rahi' in se
mere qatil bhi giraftar nahin ho sakte
- Book : سائبان غزل (Pg. 27)
- Author : راہی حمیدی
- Publication : انجمن درس ادب،چاندپور (2011)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.