sone deta nahin shab bhar dil-e-bimar mujhe
sone detā nahīñ shab bhar dil-e-bīmār mujhe
dard ne uTh ke pukārā hai ka.ī baar mujhe
chal ke zālim na dikhā shoḳhī-e-raftār mujhe
nazar aate haiñ qayāmat ke sab āsār mujhe
qabr par jab mirī aate haiñ to ro dete haiñ
baad marne ke vo samjhe haiñ vafādār mujhe
aap se aa.e the mahfil meñ tirī o zālim
haa.e ab aap meñ aanā huā dushvār mujhe
vo añdherā hai shab-e-hijr ki dam ghuTtā hai
zulf ban ban ke satātī hai shab-e-tār mujhe
maiñ rahūñ yā na rahūñ itnī ijāzat de do
ki paḌā rahne deñ darbāñ pas-e-dīvār mujhe
jab kamar jhuk ga.ī phir ziist kī ummīd kahāñ
kyā sañbhālegī ye girtī huī dīvār mujhe
sone deta nahin shab bhar dil-e-bimar mujhe
dard ne uTh ke pukara hai kai bar mujhe
chal ke zalim na dikha shoKHi-e-raftar mujhe
nazar aate hain qayamat ke sab aasar mujhe
qabr par jab meri aate hain to ro dete hain
baad marne ke wo samjhe hain wafadar mujhe
aap se aae the mahfil mein teri o zalim
hae ab aap mein aana hua dushwar mujhe
wo andhera hai shab-e-hijr ki dam ghuTta hai
zulf ban ban ke satati hai shab-e-tar mujhe
main rahun ya na rahun itni ijazat de do
ki paDa rahne den darban pas-e-diwar mujhe
jab kamar jhuk gai phir zist ki ummid kahan
kya sanbhaalegi ye girti hui diwar mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.