sone hamein kab deti hai aawaz kisi ki
sone hameñ kab detī hai āvāz kisī kī
ḳhvāboñ meñ bhī dar aa.ī hai āvāz kisī kī
jab duur jazīroñ pe koī jā base apnā
lahroñ pe safar kartī hai āvāz kisī kī
uThte haiñ qadam jab bhī kisī dasht kī jānib
qadmoñ ko jakaḌ letī hai āvāz kisī kī
ye log tamāshā.ī haiñ bas giit suneñge
kyā un ko jo bhar aa.ī hai āvāz kisī kī
āñkhoñ meñ palaT aatī hai tasvīr parā.ī
mere liye bīnā.ī hai āvāz kisī kī
sadiyoñ se yahāñ baiThe haiñ ham gosh-bar-āvāz
ab tak to nahīñ aa.ī hai āvāz kisī kī
sone hamein kab deti hai aawaz kisi ki
KHwabon mein bhi dar aai hai aawaz kisi ki
jab dur jaziron pe koi ja base apna
lahron pe safar karti hai aawaz kisi ki
uThte hain qadam jab bhi kisi dasht ki jaanib
qadmon ko jakaD leti hai aawaz kisi ki
ye log tamashai hain bas git sunenge
kya un ko jo bhar aai hai aawaz kisi ki
aankhon mein palaT aati hai taswir parai
mere liye binai hai aawaz kisi ki
sadiyon se yahan baiThe hain hum gosh-bar-awaz
ab tak to nahin aai hai aawaz kisi ki
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 122)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.