sone ki koshishen to bahut ki gain magar
sone kī koshisheñ to bahut kī ga.iiñ magar
kyā kījiye jo niiñd se jhagḌā ho raat bhar
maiñ ne ḳhud apnā saaya hī bāñhoñ meñ bhar liyā
us kā ḳhumār chhāyā thā mujh pe kuchh is qadar
āñkhoñ meñ chand ḳhvāb the aur dil meñ kuchh umiid
jaltā rahā maiñ aag kī mānind umr bhar
kyoñ koī us pe Daale nazar ehtirām kī
kahlā.e ilm-o-fan meñ jo yaktā na mo'atabar
pal meñ tamām ho gayā qissa hayāt kā
us kī nigāh mujh pe rahī itnī muḳhtasar
dushvāriyoñ se zindagī āsāñ huī mirī
dushvāriyoñ kā ḳhauf gayā zehn se utar
ham ne suḳhan meñ koī izāfa nahīñ kiyā
gesū ġhazal ke sirf sañvāre haiñ umr bhar
ilm-o-hunar mile haiñ magar tere sāmne
pahle bhī be-hunar the 'aman' ab bhī be-hunar
sone ki koshishen to bahut ki gain magar
kya kijiye jo nind se jhagDa ho raat bhar
main ne KHud apna saya hi banhon mein bhar liya
us ka KHumar chhaya tha mujh pe kuchh is qadar
aankhon mein chand KHwab the aur dil mein kuchh umid
jalta raha main aag ki manind umr bhar
kyon koi us pe Dale nazar ehtiram ki
kahlae ilm-o-fan mein jo yakta na mo'atabar
pal mein tamam ho gaya qissa hayat ka
us ki nigah mujh pe rahi itni muKHtasar
dushwariyon se zindagi aasan hui meri
dushwariyon ka KHauf gaya zehn se utar
hum ne suKHan mein koi izafa nahin kiya
gesu ghazal ke sirf sanware hain umr bhar
ilm-o-hunar mile hain magar tere samne
pahle bhi be-hunar the 'aman' ab bhi be-hunar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.