sote sote achanak gali Dar gai
sote sote achānak galī Dar ga.ī
dopahar chiil kī chīḳh se bhar ga.ī
ek jhoñkā rukā aa ke dālān meñ
ik mahak dil ko bechain sā kar ga.ī
vo ghane jañgaloñ meñ kahīñ kho gayā
yaad us kī samundar samundar ga.ī
aaj kī sub.h thī kis qadar mehrbāñ
phuul hī phuul gul-dān meñ bhar ga.ī
ghar meñ 'alvī' nayā rañg-o-roġhan huā
shakl thī ek dīvār pe mar ga.ī
sote sote achanak gali Dar gai
dopahar chil ki chiKH se bhar gai
ek jhonka ruka aa ke dalan mein
ek mahak dil ko bechain sa kar gai
wo ghane jangalon mein kahin kho gaya
yaad us ki samundar samundar gai
aaj ki subh thi kis qadar mehrban
phul hi phul gul-dan mein bhar gai
ghar mein 'alwi' naya rang-o-roghan hua
shakl thi ek diwar pe mar gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.