sote sote chaunk paDe hum KHwab mein humne kya dekha
sote sote chaunk paDe hum KHwab mein humne kya dekha
Khalilur Rahman Azmi
MORE BYKhalilur Rahman Azmi
sote sote chauñk paḌe ham ḳhvāb meñ ham ne kyā dekhā
jo ḳhud ham ko DhūñD rahā ho aisā ik rastā dekhā
duur se ik parchhā.īñ dekhī apne se miltī-jultī
paas se apne chehre meñ bhī aur koī chehra dekhā
sonā lene jab nikle to har har Dher meñ miTTī thī
jab miTTī kī khoj meñ nikle sonā hī sonā dekhā
sūkhī dhartī sun letī hai paanī kī āvāzoñ ko
pyāsī āñkheñ bol uThtī haiñ ham ne ik dariyā dekhā
aaj hameñ ḳhud apne ashkoñ kī qīmat ma.alūm huī
apnī chitā meñ apne-āp ko jab ham ne jaltā dekhā
chāñdī ke se jin ke badan the sūraj ke se mukhḌe the
kuchh andhī galiyoñ meñ ham ne un kā bhī saaya dekhā
raat vahī phir baat huī nā ham ko niiñd nahīñ aa.ī
apnī ruuh ke sannāTe se shor sā ik uThtā dekhā
sote sote chaunk paDe hum KHwab mein hum ne kya dekha
jo KHud hum ko DhunD raha ho aisa ek rasta dekha
dur se ek parchhain dekhi apne se milti-julti
pas se apne chehre mein bhi aur koi chehra dekha
sona lene jab nikle to har har Dher mein miTTi thi
jab miTTi ki khoj mein nikle sona hi sona dekha
sukhi dharti sun leti hai pani ki aawazon ko
pyasi aankhen bol uThti hain hum ne ek dariya dekha
aaj hamein KHud apne ashkon ki qimat malum hui
apni chita mein apne-ap ko jab hum ne jalta dekha
chandi ke se jin ke badan the suraj ke se mukhDe the
kuchh andhi galiyon mein hum ne un ka bhi saya dekha
raat wahi phir baat hui na hum ko nind nahin aai
apni ruh ke sannaTe se shor sa ek uThta dekha
- Book : Teri Sadaa Ka Intezaar (Pg. 24)
- Author : Khaleel-Ur-Rehman Azmi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.