soz-e-darun ne rah ko aasan bana diya
soz-e-darūñ ne raah ko āsāñ banā diyā
jab aag meñ gire to gulistāñ banā diyā
kuchh log apnī rau meñ sahar-ḳhez ho ga.e
ḳhush-posh ne harīs-e-garebāñ banā diyā
is ko adā-e-husn ki husn-e-adā kahūñ
us shoḳh ne sitam ko bhī ehsāñ banā diyā
sākin thī mauj zulf ke bahr-e-siyāh meñ
bād-e-sabā ne chheḌ ke tūfāñ banā diyā
duniyā-e-tañg-dil ne mohabbat ke ās-pās
dīvār vo uThā.ī ki zindāñ banā diyā
dil kī kalī khilā dī ġham-e-tāza-kār ne
mauj-e-nafas ko bād-e-bahārāñ banā diyā
ai rahrav-e-tajassus-e-hal ḳhatm hai safar
dushvāriyoñ ko vaqt ne āsāñ banā diyā
dīvāngī-e-ishq kā 'mānī' pe hai karam
āvāra-gard-e-kū-e-nigārāñ banā diyā
soz-e-darun ne rah ko aasan bana diya
jab aag mein gire to gulistan bana diya
kuchh log apni rau mein sahar-KHez ho gae
KHush-posh ne haris-e-gareban bana diya
is ko ada-e-husn ki husn-e-ada kahun
us shoKH ne sitam ko bhi ehsan bana diya
sakin thi mauj zulf ke bahr-e-siyah mein
baad-e-saba ne chheD ke tufan bana diya
duniya-e-tang-dil ne mohabbat ke aas-pas
diwar wo uThai ki zindan bana diya
dil ki kali khila di gham-e-taza-kar ne
mauj-e-nafas ko baad-e-bahaaran bana diya
ai rahraw-e-tajassus-e-hal KHatm hai safar
dushwariyon ko waqt ne aasan bana diya
diwangi-e-ishq ka 'mani' pe hai karam
aawara-gard-e-ku-e-nigaran bana diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.