soz-e-dil bhi nahin sukun bhi hai
soz-e-dil bhī nahīñ sukūñ bhī hai
zindagānī vabāl yuuñ bhī hai
tirī ḳhvāhish aur is qadar ḳhvāhish
vaj.h-e-hāsil sahī junūñ bhī hai
ḳhush bhī hai iltifāt-e-dost se dil
ġhairat-e-ishq sar-nigūñ bhī hai
jal ke bujh bhī ga.ī 'ziyā' aksar
aag siine meñ juuñ kī tuuñ bhī hai
soz-e-dil bhi nahin sukun bhi hai
zindagani wabaal yun bhi hai
teri KHwahish aur is qadar KHwahish
wajh-e-hasil sahi junun bhi hai
KHush bhi hai iltifat-e-dost se dil
ghairat-e-ishq sar-nigun bhi hai
jal ke bujh bhi gai 'ziya' aksar
aag sine mein jun ki tun bhi hai
- Book : Junoon (Pg. 252)
- Author : Naseem Muqri
- Publication : Naseem Muqri (1990)
- Edition : 1990
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.