soz-e-dil hai KHamushi se jal ke bujh jaane ka nam
soz-e-dil hai ḳhāmushī se jal ke bujh jaane kā naam
zindagī hai sham-e-gul ke ashk barsāne kā naam
merī nazreñ aap kī jānib haiñ duniyā par nahīñ
aap kyā kahte haiñ dekhūñ apne dīvāne kā naam
hai faroġh-e-sham.a tak hañgāma-e-bazm-e-hayāt
sub.h-dam letā nahīñ hai koī parvāne kā naam
husn hai ik be-niyāzāna charāġh-e-dil-fareb
ishq hai anjām se be-ḳhauf jal jaane kā naam
ahl-e-dānish ko na jaane kyā zarūrat aa paḌī
le rahe haiñ āj-kal farzāne dīvāne kā naam
soz-e-dil hai KHamushi se jal ke bujh jaane ka nam
zindagi hai sham-e-gul ke ashk barsane ka nam
meri nazren aap ki jaanib hain duniya par nahin
aap kya kahte hain dekhun apne diwane ka nam
hai farogh-e-shama tak hangama-e-bazm-e-hayat
subh-dam leta nahin hai koi parwane ka nam
husn hai ek be-niyazana charagh-e-dil-fareb
ishq hai anjam se be-KHauf jal jaane ka nam
ahl-e-danish ko na jaane kya zarurat aa paDi
le rahe hain aaj-kal farzane diwane ka nam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.