soz-e-dil har shab hamein apna hi batlati hai shama
soz-e-dil har shab hamein apna hi batlati hai shama
Ishq Aurangabadi
MORE BYIshq Aurangabadi
soz-e-dil har shab hameñ apnā hī batlātī hai sham.a
dil kā jalnā ham dikhāte haiñ to jal jaatī hai sham.a
ye dhuāñ niiñ dard se bhartī hai aa.heñ jāñ-gudāz
kis nazākat saat ek ek ashk Tapkātī hai sham.a
sar-site paañv talak ġharq-e-araq be-vaj.h niiñ
be-hijāb us shola-rū ko dekh sharmātī hai sham.a
shola-rū ke dekhne kī yaañ talak mushtāq hai
paañv tak sar se lagā kar aañkh ban jaatī hai sham.a
'ishq' parvāne ke mātam meñ vo apne baal khol
soz-e-dil se aah kyā rone meñ bhar jaatī hai sham.a
soz-e-dil har shab hamein apna hi batlati hai shama
dil ka jalna hum dikhate hain to jal jati hai shama
ye dhuan nin dard se bharti hai aahen jaan-gudaz
kis nazakat sat ek ek ashk Tapkati hai shama
sar-site panw talak gharq-e-araq be-wajh nin
be-hijab us shola-ru ko dekh sharmati hai shama
shola-ru ke dekhne ki yan talak mushtaq hai
panw tak sar se laga kar aankh ban jati hai shama
'ishq' parwane ke matam mein wo apne baal khol
soz-e-dil se aah kya rone mein bhar jati hai shama
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.