soz-e-dil ka zikr apne munh pe jab late hain hum
soz-e-dil kā zikr apne muñh pe jab laate haiñ ham
sham.a saañ apnī zabāñ se aap jal jaate haiñ ham
dam-ba-dam us shoḳh ke āzurda ho jaane se aah
jab nahīñ kuchh apnā bas chaltā to ghabrāte haiñ ham
baiThne ko to nahīñ aa.e haiñ yaañ ai bāġhbāñ
kyuuñ ḳhafā hotā hai itnā ham se tū jaate haiñ ham
dil se ham chhuT jaa.eñ yā dil ham se chhuT jaave kahīñ
is ke aljheḌe se ab to saḳht uktāte haiñ ham
dil ḳhudā jaane kidhar gum ho gayā ai dostāñ
DhūñDhte phirte haiñ kab se aur nahīñ paate haiñ ham
donoñ dīvāne haiñ kyā samjheñge aapas meñ abas
ham ko samjhātā hai dil aur dil ko samjhāte haiñ ham
yaad meñ us gul-badan kī āj-kal tū ai 'hasan'
baaġh meñ phir phir ke apne dil ko bahlāte haiñ ham
soz-e-dil ka zikr apne munh pe jab late hain hum
shama san apni zaban se aap jal jate hain hum
dam-ba-dam us shoKH ke aazurda ho jaane se aah
jab nahin kuchh apna bas chalta to ghabraate hain hum
baiThne ko to nahin aae hain yan ai baghban
kyun KHafa hota hai itna hum se tu jate hain hum
dil se hum chhuT jaen ya dil hum se chhuT jawe kahin
is ke aljheDe se ab to saKHt uktate hain hum
dil KHuda jaane kidhar gum ho gaya ai dostan
DhunDhte phirte hain kab se aur nahin pate hain hum
donon diwane hain kya samjhenge aapas mein abas
hum ko samjhata hai dil aur dil ko samjhate hain hum
yaad mein us gul-badan ki aaj-kal tu ai 'hasan'
bagh mein phir phir ke apne dil ko bahlate hain hum
- Deewan-e-Meer Hasan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.