soz-e-dil soz-e-jigar soz-e-alam paya hai
soz-e-dil soz-e-jigar soz-e-alam paayā hai
jo bhī paayā hai tire 'ishq meñ kam paayā hai
sar jhukā jaatā hai har gaam pe sajde ke liye
har jagah jaise tirā naqsh-e-qadam paayā hai
jitnā jī chāhe mire haal pe duniyā hañs le
maiñ ne hisse meñ faqat ranj-o-alam paayā hai
phuul hañste haiñ to rotī hai chaman meñ shabnam
ik ne paa.ī hai ḳhushī ek ne ġham paayā hai
khul gayā raaz tire dard-e-nihāñ kā 'paikar'
aaj āñkhoñ meñ tirī ashk-e-alam paayā hai
soz-e-dil soz-e-jigar soz-e-alam paya hai
jo bhi paya hai tere 'ishq mein kam paya hai
sar jhuka jata hai har gam pe sajde ke liye
har jagah jaise tera naqsh-e-qadam paya hai
jitna ji chahe mere haal pe duniya hans le
main ne hisse mein faqat ranj-o-alam paya hai
phul hanste hain to roti hai chaman mein shabnam
ek ne pai hai KHushi ek ne gham paya hai
khul gaya raaz tere dard-e-nihan ka 'paikar'
aaj aankhon mein teri ashk-e-alam paya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.