soz-e-gham bhi nahin fughan bhi nahin
soz-e-ġham bhī nahīñ fuġhāñ bhī nahīñ
jal bujhī aag ab dhuāñ bhī nahīñ
tū ba-zāhir vo mehrbāñ bhī nahīñ
mannateñ merī rā.egāñ bhī nahīñ
jaane kyuuñ tum se kuchh nahīñ kahte
varna ham itne be-zabāñ bhī nahīñ
vo nigāheñ ki be-niyāz bhī haiñ
aur un se kahīñ amaañ bhī nahīñ
dīda-o-dil haiñ kab se chashm-ba-rāh
koī uftād-e-nā-gahāñ bhī nahīñ
ai ḳhushā kārobār-e-shauq 'surūr'
naf.a kuchh ho na ho ziyāñ bhī nahīñ
soz-e-gham bhi nahin fughan bhi nahin
jal bujhi aag ab dhuan bhi nahin
tu ba-zahir wo mehrban bhi nahin
mannaten meri raegan bhi nahin
jaane kyun tum se kuchh nahin kahte
warna hum itne be-zaban bhi nahin
wo nigahen ki be-niyaz bhi hain
aur un se kahin aman bhi nahin
dida-o-dil hain kab se chashm-ba-rah
koi uftad-e-na-gahan bhi nahin
ai KHusha karobar-e-shauq 'surur'
nafa kuchh ho na ho ziyan bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.