soz-e-gham ko ba’is-e-taskin-e-jaan kaise kahen
soz-e-ġham ko bā’is-e-taskīn-e-jāñ kaise kaheñ
mauj-e-sarsar ko nasīm-e-gul-fishāñ kaise kaheñ
jo sitam-pesha hai kyā us ke karam kā e'tibār
nāvak-e-ḳhūnīñ ko shāḳh-e-āshiyāñ kaise kaheñ
ye sharāb-o-she’r-o-naġhma ye javānī ye jamāl
‘umr-e-fānī ko matā’-e-rā.egāñ kaise kaheñ
jis ko ho kāñToñ se nafrat phuul hoñ jis ko 'azīz
us ko gulshan kā haqīqī bāġhbāñ kaise kaheñ
jis ke tinke kar rahe hoñ bijliyoñ se sāz-bāz
us nasheman ko faroġh-e-gulsitāñ kaise kaheñ
jo haqīqat hai use bātil samajh leñ kis tarah
kārvāñ ko ham ġhubār-e-kārvāñ kaise kaheñ
har kalī meñ bekalī har phuul meñ pazhmurdagī
is ḳhizāñ ko ham bahār-e-jāvedāñ kaise kaheñ
āñsuoñ par aah par nāloñ pe haiñ pābandiyāñ
be-zabāñ ab dard-e-dil kī dāstāñ kaise kaheñ
zindagānī ik musalsal kashmakash kā naam hai
zindagānī ko sukūn-e-qalb-o-jāñ kaise kaheñ
ek do afrād ke milne se kab bantī hai qaum
ek do qatroñ ko bahr-e-bekarāñ kaise kaheñ
zindagānī ik haqīqat hai nahīñ ye vahm-o-ḳhvāb
aag hai ye aag hai is ko dhuāñ kaise kaheñ
daur-e-āzādī meñ 'rā'nā' soz-e-mahkūmī kahāñ
sub.h-e-sādiq ko añdhere kā samāñ kaise kaheñ
soz-e-gham ko ba’is-e-taskin-e-jaan kaise kahen
mauj-e-sarsar ko nasim-e-gul-fishan kaise kahen
jo sitam-pesha hai kya us ke karam ka e'tibar
nawak-e-KHunin ko shaKH-e-ashiyan kaise kahen
ye sharab-o-she’r-o-naghma ye jawani ye jamal
‘umr-e-fani ko mata’-e-raegan kaise kahen
jis ko ho kanTon se nafrat phul hon jis ko 'aziz
us ko gulshan ka haqiqi baghban kaise kahen
jis ke tinke kar rahe hon bijliyon se saz-baz
us nasheman ko farogh-e-gulsitan kaise kahen
jo haqiqat hai use baatil samajh len kis tarah
karwan ko hum ghubar-e-karwan kaise kahen
har kali mein bekali har phul mein pazhmurdagi
is KHizan ko hum bahaar-e-jawedan kaise kahen
aansuon par aah par nalon pe hain pabandiyan
be-zaban ab dard-e-dil ki dastan kaise kahen
zindagani ek musalsal kashmakash ka nam hai
zindagani ko sukun-e-qalb-o-jaan kaise kahen
ek do afrad ke milne se kab banti hai qaum
ek do qatron ko bahr-e-bekaran kaise kahen
zindagani ek haqiqat hai nahin ye wahm-o-KHwab
aag hai ye aag hai is ko dhuan kaise kahen
daur-e-azadi mein 'ra'na' soz-e-mahkumi kahan
subh-e-sadiq ko andhere ka saman kaise kahen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.