soz-e-mohabbat dard-e-judai tu kya jaane mujhse puchh
soz-e-mohabbat dard-e-judai tu kya jaane mujhse puchh
Shauq Jalandhari
MORE BYShauq Jalandhari
soz-e-mohabbat dard-e-judā.ī tū kyā jaane mujh se pūchh
kis ko kahte haiñ tanhā.ī tū kyā jaane mujh se pūchh
patthar aur shīshe se be-shak shīsh-mahal ban saktā hai
ghar kahte haiñ kis ko bhaa.ī tū kyā jaane mujh se pūchh
dil kī lagī se aur to kuchh hāsil na huā is duniyā meñ
muft meñ haath aa.ī rusvā.ī tū kyā jaane mujh se pūchh
ġham se ta.alluq kyā hai merā dard se kaisā rishta hai
duniyā hī jab samajh na paa.ī tū kyā jaane mujh se pūchh
jazboñ ko tahrīk mile to anhonī ho saktī hai
ishq meñ hai kitnī gahrā.ī tū kyā jaane mujh se pūchh
jin kī aañkh meñ phāñs gaḌī hai merī aañkh ke tinke par
karte haiñ añgusht-numā.ī tū kyā jaane mujh se pūchh
mahfil meñ ḳhāmoshī se kyoñ maiñ ne itnā kaam liyā
is meñ bhī thī kuchh dānā.ī tū kyā jaane mujh se pūchh
tark-e-ta.alluq par āmāda karte the hālāt bahut
dil ko kyoñ ye baat na bhaa.ī tū kyā jaane mujh se pūchh
us kā chehra us kī zulfeñ us kī āñkheñ us ke hoñT
is par zālim kī añgḌā.ī tū kyā jaane mujh se pūchh
'shauq' na kuchh jiine kī ḳhushī hai aur na kuchh marne kā malāl
jīvan hai ġham kī shahnā.ī tū kyā jaane mujh se pūchh
soz-e-mohabbat dard-e-judai tu kya jaane mujh se puchh
kis ko kahte hain tanhai tu kya jaane mujh se puchh
patthar aur shishe se be-shak shish-mahal ban sakta hai
ghar kahte hain kis ko bhai tu kya jaane mujh se puchh
dil ki lagi se aur to kuchh hasil na hua is duniya mein
muft mein hath aai ruswai tu kya jaane mujh se puchh
gham se talluq kya hai mera dard se kaisa rishta hai
duniya hi jab samajh na pai tu kya jaane mujh se puchh
jazbon ko tahrik mile to anhoni ho sakti hai
ishq mein hai kitni gahrai tu kya jaane mujh se puchh
jin ki aankh mein phans gaDi hai meri aankh ke tinke par
karte hain angusht-numai tu kya jaane mujh se puchh
mahfil mein KHamoshi se kyon main ne itna kaam liya
is mein bhi thi kuchh danai tu kya jaane mujh se puchh
tark-e-talluq par aamada karte the haalat bahut
dil ko kyon ye baat na bhai tu kya jaane mujh se puchh
us ka chehra us ki zulfen us ki aankhen us ke honT
is par zalim ki angDai tu kya jaane mujh se puchh
'shauq' na kuchh jine ki KHushi hai aur na kuchh marne ka malal
jiwan hai gham ki shahnai tu kya jaane mujh se puchh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.