soz-e-sham-e-hijr se shab jal gae
soz-e-sham-e-hijr se shab jal ga.e
Dhalte Dhalte aañsū ham ḳhud Dhal ga.e
kal kā vā'da kyā raqīboñ se kiyā
karte aaj aapas meñ kuchh kal kal ga.e
vo uThā kar yak qadam aayā na gaah
ham qadam saañ us ke sar ke bal ga.e
kab chhupī chhab taḳhtī aur vo chāl-Dhāl
go ki muñh par kar ke tum ojhal ga.e
shart thī mānūñgā jo māñgoge tum
nām-e-bosa sunte hī kuchh Tal ga.e
sāda-rū to dil ke ujle chor haiñ
haath le ye maal kurte Tal ga.e
ġhuncha-e-dil 'azfarī' taqrīb-e-sair
gul-ruḳhāñ pāmāl kar mal-dal ga.e
soz-e-sham-e-hijr se shab jal gae
Dhalte Dhalte aansu hum KHud Dhal gae
kal ka wa'da kya raqibon se kiya
karte aaj aapas mein kuchh kal kal gae
wo uTha kar yak qadam aaya na gah
hum qadam san us ke sar ke bal gae
kab chhupi chhab taKHti aur wo chaal-Dhaal
go ki munh par kar ke tum ojhal gae
shart thi manunga jo mangoge tum
nam-e-bosa sunte hi kuchh Tal gae
sada-ru to dil ke ujle chor hain
hath le ye mal kurte Tal gae
ghuncha-e-dil 'azfari' taqrib-e-sair
gul-ruKHan pamal kar mal-dal gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.