soz-e-shuur-e-ishq ata ho to baat kar
soz-e-shu.ūr-e-ishq atā ho to baat kar
tere bhī dil meñ ḳhauf-e-ḳhudā ho to baat kar
ḳhushbū kī tarah mujh se judā ho na is tarah
sarzad jo mujh se koī ḳhatā ho to baat kar
phir tū samajh sakegā mohabbat hai kyā balā
tere bhī dil meñ dard uThā ho to baat kar
maiñ ne sahī haiñ apne parā.e kī talḳhiyāñ
shīsha anā kā TuuT gayā ho to baat kar
tapte laboñ pe ek tabassum sā khil uThe
lahje meñ tere aisī sadā ho to baat kar
shīshe mire makān ke sab chuur ho ga.e
patthar tire bhī ghar meñ girā ho to baat kar
'sājid' jo sab ke dil meñ utar jaa.e tiir sā
tū ne bhī aisā sher kahā ho to baat kar
soz-e-shuur-e-ishq ata ho to baat kar
tere bhi dil mein KHauf-e-KHuda ho to baat kar
KHushbu ki tarah mujh se juda ho na is tarah
sarzad jo mujh se koi KHata ho to baat kar
phir tu samajh sakega mohabbat hai kya bala
tere bhi dil mein dard uTha ho to baat kar
main ne sahi hain apne parae ki talKHiyan
shisha ana ka TuT gaya ho to baat kar
tapte labon pe ek tabassum sa khil uThe
lahje mein tere aisi sada ho to baat kar
shishe mere makan ke sab chur ho gae
patthar tere bhi ghar mein gira ho to baat kar
'sajid' jo sab ke dil mein utar jae tir sa
tu ne bhi aisa sher kaha ho to baat kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.