soz-o-gudaz-e-ishq ka lazzat-chashida hun
soz-o-gudāz-e-ishq kā lazzat-chashīda huuñ
mānind-e-ābla hama-tan ābdīda huuñ
gar tū na ho to phir kisī kāfir kā dil lage
dozaḳh meñ ārmīda iram se ramīda huuñ
allāh re kashākash-e-dair-o-haram ki maiñ
zālim hazār haath se dāman-darīda huuñ
parvāna paas sham.a ke bulbul hai gul ke paas
ik maiñ ki terī bazm meñ ḳhalvat-gazīda huuñ
uftādgī pe bhī na ga.ī us kī justujū
goyā zamīñ pe sāya-e-murġh-e-parīda huuñ
ai ārzū-e-tāza na kar mujh se chheḌ-chhāḌ
maiñ pā-e-shauq-o-dast-e-tamannā-burīda huuñ
ai 'dāġh' jis ke vāste roz-e-jazā banā
vo kaun hai vo maiñ hī to āfat-rasīda huuñ
soz-o-gudaz-e-ishq ka lazzat-chashida hun
manind-e-abla hama-tan aabdida hun
gar tu na ho to phir kisi kafir ka dil lage
dozaKH mein aarmida iram se ramida hun
allah re kashakash-e-dair-o-haram ki main
zalim hazar hath se daman-darida hun
parwana pas shama ke bulbul hai gul ke pas
ek main ki teri bazm mein KHalwat-gazida hun
uftadgi pe bhi na gai us ki justuju
goya zamin pe saya-e-murgh-e-parida hun
ai aarzu-e-taza na kar mujh se chheD-chhaD
main pa-e-shauq-o-dast-e-tamanna-burida hun
ai 'dagh' jis ke waste roz-e-jaza bana
wo kaun hai wo main hi to aafat-rasida hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.