Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

soz-o-gudaz-o-jazb-o-asar kaun le gaya

Habab Hashmi

soz-o-gudaz-o-jazb-o-asar kaun le gaya

Habab Hashmi

MORE BYHabab Hashmi

    soz-o-gudāz-o-jazb-o-asar kaun le gayā

    ham se matā-e-dard-e-jigar kaun le gayā

    kyā ho gayā hai gardish-e-daurāñ batā

    husn-o-jamāl-e-shām-o-sahar kaun le gayā

    shorīdgī-e-ishq lazzat kahāñ ga.ī

    saudā thā jis meñ terā vo sar kaun le gayā

    manzil samt baḌhte nahīñ kis liye qadam

    ai dil matā.a-e-azm-e-safar kaun le gayā

    din meñ harīm-e-nāz ke jalve the sab nihāñ

    shab meñ ridā-e-najm-o-qamar kaun le gayā

    charche the ilm-o-fazl ke duniyā-jahān meñ

    ganjīna-hā-e-ilm-o-hunar kaun le gayā

    jibrīl ke bhī jalte haiñ par jis jagah 'habāb'

    us pe ḳhāk-e-pā-e-bashar kaun le gayā

    soz-o-gudaz-o-jazb-o-asar kaun le gaya

    hum se mata-e-dard-e-jigar kaun le gaya

    kya ho gaya hai gardish-e-dauran tu hi bata

    husn-o-jamal-e-sham-o-sahar kaun le gaya

    shoridgi-e-ishq ki lazzat kahan gai

    sauda tha jis mein tera wo sar kaun le gaya

    manzil ki samt baDhte nahin kis liye qadam

    ai dil mataa-e-azm-e-safar kaun le gaya

    din mein harim-e-naz ke jalwe the sab nihan

    shab mein rida-e-najm-o-qamar kaun le gaya

    charche the ilm-o-fazl ke duniya-jahan mein

    ganjina-ha-e-ilm-o-hunar kaun le gaya

    jibril ke bhi jalte hain par jis jagah 'habab'

    us ja pe KHak-e-pa-e-bashar kaun le gaya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now