soz se saaz hī nahīñ haal hai kuchh 'ajab tirā
maiñ to niyāz-mand huuñ naaz hai be-sabab tirā
'ishva kāmyāb hai jo bhī hai be-hisāb hai
rahm tirā karam tirā qahr tirā ġhazab tirā
maiñ to huuñ naqsh-e-zer-e-gām jāntā huuñ tirā maqām
mujh pe ye kyā hai ittihām maiñ na karūñ adab tirā
jāniye kis tarah jā.egī jaan ye kab tire liye
aane kī tarah aa.egā mujh ko ḳhayāl kab tirā
dast-e-du'ā na paas hai baḳht-e-rasā na saath hai
kyuuñ ho 'munavvar'-e-hazīñ banda-e-muntaḳhab tirā
soz se saz hi nahin haal hai kuchh 'ajab tera
main to niyaz-mand hun naz hai be-sabab tera
'ishwa kaamyab hai jo bhi hai be-hisab hai
rahm tera karam tera qahr tera ghazab tera
main to hun naqsh-e-zer-e-gam jaanta hun tera maqam
mujh pe ye kya hai ittiham main na karun adab tera
jaaniye kis tarah jaegi jaan ye kab tere liye
aane ki tarah aaega mujh ko KHayal kab tera
dast-e-du'a na pas hai baKHt-e-rasa na sath hai
kyun ho 'munawwar'-e-hazin banda-e-muntaKHab tera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.