soz-e-ulfat jaga raha hun main
soz-e-ulfat jagā rahā huuñ maiñ
dil kī bastī basā rahā huuñ maiñ
us kī tasvīr sāmne rakh kar
dil kī mahfil sajā rahā huuñ maiñ
dil kī bāteñ na ho ayaañ us par
āñkheñ us se churā rahā huuñ maiñ
shab hai tārīk aur fazā ḳhāmosh
tanhā tanhā sā pā rahā huuñ maiñ
merī ulfat kā vo yaqīñ na kareñ
qasmeñ khāne ko khā rahā huuñ maiñ
soz-e-ulfat jaga raha hun main
dil ki basti basa raha hun main
us ki taswir samne rakh kar
dil ki mahfil saja raha hun main
dil ki baaten na ho ayan us par
aankhen us se chura raha hun main
shab hai tarik aur faza KHamosh
tanha tanha sa pa raha hun main
meri ulfat ka wo yaqin na karen
qasmen khane ko kha raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.