sozish-e-gham ki inayat kabhi aisi to na thi
sozish-e-gham ki inayat kabhi aisi to na thi
Mansha ur Rahman Khan Mansha
MORE BYMansha ur Rahman Khan Mansha
sozish-e-ġham kī ināyat kabhī aisī to na thī
aaj hai dil kī jo hālat kabhī aisī to na thī
apnī hastī kā bhī ehsās nahīñ hai jaise
ḳhud-farāmoshī-e-vahshat kabhī aisī to na thī
sāzish-e-dīda-o-dil rang hī laa.ī āḳhir
khoī khoī sī tabī.at kabhī aisī to na thī
ai ġham-e-ishq ye terā hī karam hai shāyad
ab hai jo ziist kī sūrat kabhī aisī to na thī
un nigāhoñ ne hī kuchh sehr kiyā hai varna
zindagānī meñ harārat kabhī aisī to na thī
apne hī ḳhūn-e-jigar kā to ye faizān nahīñ
mausam-e-gul meñ tarāvat kabhī aisī to na thī
mauja-e-nūr ne phir sar na uThāyā ho kahīñ
sahmī sahmī huī zulmat kabhī aisī to na thī
aaj kyoñ zad pe haiñ us kī ye mah-o-mehr-o-nujūm
azm-e-insāñ kī jasārat kabhī aisī to na thī
un meñ ehsās-e-ḳhudī jaag rahā hai 'manshā'
varna zarroñ meñ tamāzat kabhī aisī aisī na thī
sozish-e-gham ki inayat kabhi aisi to na thi
aaj hai dil ki jo haalat kabhi aisi to na thi
apni hasti ka bhi ehsas nahin hai jaise
KHud-faramoshi-e-wahshat kabhi aisi to na thi
sazish-e-dida-o-dil rang hi lai aaKHir
khoi khoi si tabiat kabhi aisi to na thi
ai gham-e-ishq ye tera hi karam hai shayad
ab hai jo zist ki surat kabhi aisi to na thi
un nigahon ne hi kuchh sehr kiya hai warna
zindagani mein hararat kabhi aisi to na thi
apne hi KHun-e-jigar ka to ye faizan nahin
mausam-e-gul mein tarawat kabhi aisi to na thi
mauja-e-nur ne phir sar na uThaya ho kahin
sahmi sahmi hui zulmat kabhi aisi to na thi
aaj kyon zad pe hain us ki ye mah-o-mehr-o-nujum
azm-e-insan ki jasarat kabhi aisi to na thi
un mein ehsas-e-KHudi jag raha hai 'mansha'
warna zarron mein tamazat kabhi aisi aisi na thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.