subh aata hun yahan aur sham ho jaane ke baad
sub.h aatā huuñ yahāñ aur shaam ho jaane ke baa'd
lauT jaatā huuñ maiñ ghar nākām ho jaane ke baa'd
Dhāñp dete haiñ havas ko 'ishq kī poshāk meñ
log saare shahr meñ badnām ho jaane ke baa'd
ik hujūm-e-yād hogā in galī-kūchoñ ke biich
dekho shahr-e-dil kī raunaq shaam ho jaane ke baa'd
yaad karne ke sivā ab kar bhī kyā sakte haiñ ham
bhuul jaane meñ tujhe nākām ho jaane ke baa'd
ḳhud jise mehnat mashaqqat se banātā huuñ 'jamāl'
chhoḌ detā huuñ vo rasta 'aam ho jaane ke baa'd
subh aata hun yahan aur sham ho jaane ke ba'd
lauT jata hun main ghar nakaam ho jaane ke ba'd
Dhanp dete hain hawas ko 'ishq ki poshak mein
log sare shahr mein badnam ho jaane ke ba'd
ek hujum-e-yaad hoga in gali-kuchon ke bich
dekho shahr-e-dil ki raunaq sham ho jaane ke ba'd
yaad karne ke siwa ab kar bhi kya sakte hain hum
bhul jaane mein tujhe nakaam ho jaane ke ba'd
KHud jise mehnat mashaqqat se banata hun 'jamal'
chhoD deta hun wo rasta 'am ho jaane ke ba'd
- Book : Akelepan Ki Intiha (Pg. 26)
- Author : Jamal Ehsani
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.