subh aati hai masarrat ke payamat liye
sub.h aatī hai masarrat ke payāmāt liye
zindagānī ke mahakte hue naġhmāt liye
shaam ke dosh pe lahrātā hai rañgīñ āñchal
shab kī āġhosh meñ khiltā hai gulistān-e-ġhazal
is liye 'mīr' kī 'ġhālib' kī ġhazal kahte haiñ
shahr ko mere sabhī tāj-mahal kahte haiñ
sochtā huuñ na.e māhaul meñ kyā baat huī
muddatoñ ba.ad sahar aa.ī to kyoñ raat huī
pyaar ke shahr meñ nafrat kī havā.eñ kyoñ haiñ
har taraf buġhz-o-adāvat kī sadā.eñ kyoñ haiñ
subh aati hai masarrat ke payamat liye
zindagani ke mahakte hue naghmat liye
sham ke dosh pe lahraata hai rangin aanchal
shab ki aaghosh mein khilta hai gulistan-e-ghazal
is liye 'mir' ki 'ghaalib' ki ghazal kahte hain
shahr ko mere sabhi taj-mahal kahte hain
sochta hun nae mahaul mein kya baat hui
muddaton baad sahar aai to kyon raat hui
pyar ke shahr mein nafrat ki hawaen kyon hain
har taraf bughz-o-adawat ki sadaen kyon hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.