subh bhi apni sham bhi apni
sub.h bhī apnī shaam bhī apnī
aur mai-e-gulfām bhī apnī
phuul sā nāzuk dil bhī apnā
gardish-e-sub.h-o-shām bhī apnī
vo bhī apne dard bhī apnā
āh-e-dil-e-nākām bhī apnī
shikva-e-besh-o-kam kyā kiije
bazm-e-sharīk-e-jām bhī apnī
'hāmid' kah do ahl-e-karam se
deñ na salā-e-ām bhī apnī
subh bhi apni sham bhi apni
aur mai-e-gulfam bhi apni
phul sa nazuk dil bhi apna
gardish-e-subh-o-sham bhi apni
wo bhi apne dard bhi apna
aah-e-dil-e-nakaam bhi apni
shikwa-e-besh-o-kam kya kije
bazm-e-sharik-e-jam bhi apni
'hamid' kah do ahl-e-karam se
den na sala-e-am bhi apni
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.