subh chale ya sham chale
sub.h chale yā shaam chale
saaqī daur-e-jām chale
rāhbarī kī dhun ho jise
saath mire do gaam chale
saath zabāñ ne jab na diyā
nazroñ ke paiġhām chale
ham jo daanā bante the
ḳhud hī zer-e-dām chale
dil kī nagrī kaisī hai
patthar sub.h-o-shām chale
jin kī vafā par nāzāñ thā
kar ke vahī bad-nām chale
ilm-o-adab kī duniyā se
'zākir' bhī gumnām chale
subh chale ya sham chale
saqi daur-e-jam chale
rahbari ki dhun ho jise
sath mere do gam chale
sath zaban ne jab na diya
nazron ke paigham chale
hum jo dana bante the
KHud hi zer-e-dam chale
dil ki nagri kaisi hai
patthar subh-o-sham chale
jin ki wafa par nazan tha
kar ke wahi bad-nam chale
ilm-o-adab ki duniya se
'zakir' bhi gumnam chale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.