subh-dam hai ye tabiat kaisi
sub.h-dam hai ye tabī.at kaisī
ḳhair udāsī se shikāyat kaisī
kyā koī ḳhvāb abhī dekhā thā
aañkh maltī hai haqīqat kaisī
dil ne ik vasl-e-musalsal pā kar
talḳh kar lī hai mohabbat kaisī
be-dhaḌak dil ko dukhāyā kiije
is ināyat kī ijāzat kaisī
yaad aatā hai ḳhudā pal pal pal
aisī hālat meñ ibādat kaisī
ḳhud se do-chār huā karte haiñ
ham ko fursat meñ farāġhat kaisī
dil se utrā huā hai kyuuñ dil bhī
aisī bātoñ kī vazāhat kaisī
ḳhud se mansūb kiyā kyā kyā kuchh
shā.irī meñ hai suhūlat kaisī
ahl-e-dil aql ke dushman Thahre
ham ko ai dost nasīhat kaisī
zindagī ḳhud meñ 'amar' ḳhush thī bahut
maut ne kar dī sharārat kaisī
subh-dam hai ye tabiat kaisi
KHair udasi se shikayat kaisi
kya koi KHwab abhi dekha tha
aankh malti hai haqiqat kaisi
dil ne ek wasl-e-musalsal pa kar
talKH kar li hai mohabbat kaisi
be-dhaDak dil ko dukhaya kije
is inayat ki ijazat kaisi
yaad aata hai KHuda pal pal pal
aisi haalat mein ibaadat kaisi
KHud se do-chaar hua karte hain
hum ko fursat mein faraghat kaisi
dil se utra hua hai kyun dil bhi
aisi baaton ki wazahat kaisi
KHud se mansub kiya kya kya kuchh
shairi mein hai suhulat kaisi
ahl-e-dil aql ke dushman Thahre
hum ko ai dost nasihat kaisi
zindagi KHud mein 'amar' KHush thi bahut
maut ne kar di shararat kaisi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.