subh-dam ka maza nahin lete
sub.h-dam kā mazā nahīñ lete
log taaza havā nahīñ lete
jhuuT kā aasrā nahīñ lete
dard vaale davā nahīñ lete
barsar-e-eqtidār huuñ kab se
log kyoñ fā.eda nahīñ lete
kaun jaane vo dil se detā ho
ham kisī kī duā nahīñ lete
be-jhijhak ab milā karo ham se
āj-kal ham davā nahīñ lete
jin ke raushan zamīr hote haiñ
duur se zā.iqa nahīñ lete
ishq hotā hai apne buute par
ishq meñ mashvara nahīñ lete
subh-dam ka maza nahin lete
log taza hawa nahin lete
jhuT ka aasra nahin lete
dard wale dawa nahin lete
barsar-e-eqtidar hun kab se
log kyon faeda nahin lete
kaun jaane wo dil se deta ho
hum kisi ki dua nahin lete
be-jhijhak ab mila karo hum se
aaj-kal hum dawa nahin lete
jin ke raushan zamir hote hain
dur se zaiqa nahin lete
ishq hota hai apne bute par
ishq mein mashwara nahin lete
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.