Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

subh-dam kaise mile mahfil mein parwane ki KHak

Pasha Rahman

subh-dam kaise mile mahfil mein parwane ki KHak

Pasha Rahman

MORE BYPasha Rahman

    sub.h-dam kaise mile mahfil meñ parvāne ḳhaak

    surma-e-chashm-e-vafā keshāñ hai dīvāne ḳhaak

    joshish-e-āvārgī-e-shauq-e-majnūñ munfa.il

    shāhid-e-sahrā-navardī merī vīrāne ḳhaak

    chupke chupke sham.a sozāñ raat bhar rotī rahī

    rakh ke apne sāmne mahfil meñ parvāne ḳhaak

    kyā koī phir qais āshufta chalā hai sū-e-dasht

    kis ko uTh kar dekhtī hai roz vīrāne ḳhaak

    roz laatī thī sabā mahfil meñ bū-e-zulf-e-yār

    is dafa aa.ī hai le kar un ke kāshāne ḳhaak

    dekhnā chāhte haiñ nasha zāhid to phir

    mai-gusāroñ se kaho mal leñ vo maiḳhāne ḳhaak

    shaiḳh sāhab kyā hai fatvā aap is baab meñ

    qābil-e-sajda hai pāshā ko sanam-ḳhāne ḳhaak

    subh-dam kaise mile mahfil mein parwane ki KHak

    surma-e-chashm-e-wafa keshan hai diwane ki KHak

    joshish-e-awargi-e-shauq-e-majnun munfail

    shahid-e-sahra-nawardi meri virane ki KHak

    chupke chupke shama sozan raat bhar roti rahi

    rakh ke apne samne mahfil mein parwane ki KHak

    kya koi phir qais aashufta chala hai su-e-dasht

    kis ko uTh kar dekhti hai roz virane ki KHak

    roz lati thi saba mahfil mein bu-e-zulf-e-yar

    is dafa aai hai le kar un ke kashane ki KHak

    dekhna hi chahte hain nasha zahid to phir

    mai-gusaron se kaho mal len wo maiKHane ki KHak

    shaiKH sahab kya hai fatwa aap ka is bab mein

    qabil-e-sajda hai pasha ko sanam-KHane ki KHak

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now