subh-e-bahaar-e-gham ki kabhi sham dekhna
subh-e-bahaar-e-gham ki kabhi sham dekhna
Zahoor Ambar Quraishi
MORE BYZahoor Ambar Quraishi
sub.h-e-bahār-e-ġham kī kabhī shaam dekhnā
āġhāz dekhnā kabhī anjām dekhnā
hastī ġham-e-jahāñ ġham-e-jānāñ meñ kaT ga.ī
likkhā thā kab nasīb meñ ārām dekhnā
terā ḳhulūs terī mohabbat tirī nazar
kar degī ek din hameñ badnām dekhnā
tauba ke baad raqs meñ paimāne aa ga.e
hasrat bharī nigāh se phir jaam dekhnā
'ambar' kabhī kisī se na tum TuuT kar milo
ik roz tum pe aa.egā ilzām dekhnā
subh-e-bahaar-e-gham ki kabhi sham dekhna
aaghaz dekhna kabhi anjam dekhna
hasti gham-e-jahan gham-e-jaanan mein kaT gai
likkha tha kab nasib mein aaram dekhna
tera KHulus teri mohabbat teri nazar
kar degi ek din hamein badnam dekhna
tauba ke baad raqs mein paimane aa gae
hasrat bhari nigah se phir jam dekhna
'ambar' kabhi kisi se na tum TuT kar milo
ek roz tum pe aaega ilzam dekhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.