Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

subh-e-firaq al-aman wasl ki sham al-aman

Ahmad Hamesh

subh-e-firaq al-aman wasl ki sham al-aman

Ahmad Hamesh

MORE BYAhmad Hamesh

    sub.h-e-firāq al-amāñ vasl shaam al-amāñ

    ajiib hai bisāt-e-ishq ajab nizām al-amāñ

    the kabhī jo surḳh-rū vo to ham nahīñ rahe

    tum to ho chunīñ-chunāñ tumhārā naam al-amāñ

    guzar ga.ī ye zindagī qadam qadam ghasīT ke

    maut bhī aa rahī hai kyā gām-ba-gām al-amāñ

    phir rahā thā jā-ba-jā faqīr rizq ke liye

    āḳhir use ġhizā milī vo bhī harām al-amāñ

    saarī talāsh hai abas saarī talab hai rā.egāñ

    kār-e-fuzūl ishq meñ sab kuchh tamām al-amāñ

    harf-e-kalām se pare harf-e-sukūt jahāñ

    koī nahīñ pahuñch sakā naqsh-e-davām al-amāñ

    khultā nahīñ 'hamesh' par uqda-e-fareb kyuuñ

    kis ne bichhā.e haiñ yahāñ dāna-o-dām al-amāñ

    subh-e-firaq al-aman wasl ki sham al-aman

    ajib hai bisat-e-ishq ajab nizam al-aman

    the kabhi jo surKH-ru wo to hum nahin rahe

    tum to ho chunin-chunan tumhaara nam al-aman

    guzar gai ye zindagi qadam qadam ghasiT ke

    maut bhi aa rahi hai kya gam-ba-gam al-aman

    phir raha tha ja-ba-ja faqir rizq ke liye

    aaKHir use ghiza mili wo bhi haram al-aman

    sari talash hai abas sari talab hai raegan

    kar-e-fuzul ishq mein sab kuchh tamam al-aman

    harf-e-kalam se pare harf-e-sukut ka jahan

    koi nahin pahunch saka naqsh-e-dawam al-aman

    khulta nahin 'hamesh' par uqda-e-fareb kyun

    kis ne bichhae hain yahan dana-o-dam al-aman

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now