subh-e-hasin likhun ki jawan sham kya likhun
sub.h-e-hasīñ likhūñ ki javāñ shaam kyā likhūñ
ai zindagī batā ki tirā naam kyā likhūñ
muddat se sochtā huuñ likhūñ koī ḳhat tujhe
phir ye bhī sochtā huuñ ki paiġhām kyā likhūñ
is dil kī dhaḌkanoñ pe tire naam ke sivā
tū hī batā ki aur koī naam kyā likhūñ
be-nām chāhatoñ kā safar to nazar meñ hai
hairāñ huuñ is talāsh kā anjām kyā likhūñ
tere baġhair kyā hai mirī zindagī kā haal
kaise haiñ mere ghar ke dar-o-bām kyā likhūñ
kuchh to batā 'rafī.a' ki is zindagī ko maiñ
chāhat likhūñ ki chāhat-e-nākām kyā likhūñ
subh-e-hasin likhun ki jawan sham kya likhun
ai zindagi bata ki tera nam kya likhun
muddat se sochta hun likhun koi KHat tujhe
phir ye bhi sochta hun ki paigham kya likhun
is dil ki dhaDkanon pe tere nam ke siwa
tu hi bata ki aur koi nam kya likhun
be-nam chahaton ka safar to nazar mein hai
hairan hun is talash ka anjam kya likhun
tere baghair kya hai meri zindagi ka haal
kaise hain mere ghar ke dar-o-baam kya likhun
kuchh to bata 'rafia' ki is zindagi ko main
chahat likhun ki chahat-e-nakaam kya likhun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.