subh-e-justuju hai tu
sub.h-e-justujū hai tū
shām-e-ārzū hai tū
maiñ to ḳhushk sahrā huuñ
merī aabjū hai tū
zevar-e-taḳhayyul aur
husn-e-guftugū hai tū
kuchh alag sitāroñ se
chāñd hū-ba-hū hai tū
sub.h hai banaras kī
shām-e-lucknow hai tū
garche ab nahīñ 'betāb'
phir bhī rū-ba-rū hai to
subh-e-justuju hai tu
sham-e-arzu hai tu
main to KHushk sahra hun
meri aabju hai tu
zewar-e-taKHayyul aur
husn-e-guftugu hai tu
kuchh alag sitaron se
chand hu-ba-hu hai tu
subh hai banaras ki
sham-e-lucknow hai tu
garche ab nahin 'betab'
phir bhi ru-ba-ru hai to
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.