subh-e-mahshar bhi gawara nahin furqat meri
sub.h-e-mahshar bhī gavārā nahīñ furqat merī
mujh se rah rah ke lipaT jaatī hai turbat meñ
rañj detā hai mazā vo hai tabī.at merī
chain likhtī hai mire vāste qismat merī
aa ke Thukrā ga.e kis naaz se turbat merī
na khulī aañkh mirī haa.e rī ġhaflat merī
koī aatā hai kahīñ aise siyah-ḳhāne meñ
mere ghar kā hai ujālā shab-e-furqat merī
sadqe ai tamkanat-e-nāz dikhā de mujh ko
haa.e vo aañkh na ho jis meñ muravvat merī
kyā niDar ho ke shab-e-vasl vo aa baiThe haiñ
jānte haiñ ki bachā legī nazākat merī
jitne dil ḳhaak hue roz-e-azal se ab tak
aaj un sab kā nishāñ detī hai turbat merī
mai-o-māshūq nahīñ aap meñ rahne dete
ba.ad-e-tauba bhī badal jaatī hai niyyat merī
is tarah hashr meñ aayā huuñ lahad se uTh kar
ki farishte nahīñ pahchānte sūrat merī
hashr meñ pesh-e-nazar hoñge butān-e-kāfir
mujhe Dar hai na bigaḌ jaa.e tabī.at merī
dhoke detī hai burī tarah ye logoñ ko 'riyāz'
miltī-jultī hai bahut ḳhizr se sūrat merī
subh-e-mahshar bhi gawara nahin furqat meri
mujh se rah rah ke lipaT jati hai turbat mein
ranj deta hai maza wo hai tabiat meri
chain likhti hai mere waste qismat meri
aa ke Thukra gae kis naz se turbat meri
na khuli aankh meri hae ri ghaflat meri
koi aata hai kahin aise siyah-KHane mein
mere ghar ka hai ujala shab-e-furqat meri
sadqe ai tamkanat-e-naz dikha de mujh ko
hae wo aankh na ho jis mein murawwat meri
kya niDar ho ke shab-e-wasl wo aa baiThe hain
jaante hain ki bacha legi nazakat meri
jitne dil KHak hue roz-e-azal se ab tak
aaj un sab ka nishan deti hai turbat meri
mai-o-mashuq nahin aap mein rahne dete
baad-e-tauba bhi badal jati hai niyyat meri
is tarah hashr mein aaya hun lahad se uTh kar
ki farishte nahin pahchante surat meri
hashr mein pesh-e-nazar honge butan-e-kafir
mujhe Dar hai na bigaD jae tabiat meri
dhoke deti hai buri tarah ye logon ko 'riyaz'
milti-julti hai bahut KHizr se surat meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.