subh-e-nau maghrib mein hai bedar bedaron ke sath
sub.h-e-nau maġhrib meñ hai bedār bedāroñ ke saath
aur ham gardish meñ haiñ be-nūr sayyāroñ ke saath
chīḳhtī kirneñ fazā kī dilkashī ko le uḌiiñ
dhuup sāyoñ se lagī hai saa.e dīvāroñ ke saath
dosh par qābīl ke hai laash phir hābīl kī
lamhe qabreñ khodte haiñ apnī minqāroñ ke saath
nār-e-namrūd aur gulzār-e-barāhīm ek hai
phuul bhī lau de rahe haiñ aaj angāroñ ke saath
dekh ai chashm-e-zuleḳhā qadr apne pyaar kī
aaj phir yūsuf ke bhaa.ī haiñ ḳharīdāroñ ke saath
āl-e-mūsā ne kiyā iisā ko phir bālā-e-dār
haiñ havārī bhī yahūdī sang-dil yāroñ ke saath
qibla-e-avval salāhuddīn-ayyūbī ko DhūñD
aa milī dīvār-e-girya terī dīvāroñ ke saath
ai masīhā zahr de lekin na dast-e-ġhair se
ye sitam allāhu-akbar apne bīmāroñ ke saath
is siyāsat kī fazā meñ saañs lenā hai azaab
dushman apne saath haiñ aġhyār haiñ yāroñ ke saath
karbalā meñ yakka-o-tanhā husain-ibn-e-alī
ta.aziye shahroñ meñ haiñ lākhoñ azādāroñ ke saath
dostī kā hashr dekhā to khulā ham par 'zafar'
hashr meñ khul kar kareñge dushmanī pyāroñ ke saath
subh-e-nau maghrib mein hai bedar bedaron ke sath
aur hum gardish mein hain be-nur sayyaron ke sath
chiKHti kirnen faza ki dilkashi ko le uDin
dhup sayon se lagi hai sae diwaron ke sath
dosh par qabil ke hai lash phir habil ki
lamhe qabren khodte hain apni minqaron ke sath
nar-e-namrud aur gulzar-e-barahim ek hai
phul bhi lau de rahe hain aaj angaron ke sath
dekh ai chashm-e-zuleKHa qadr apne pyar ki
aaj phir yusuf ke bhai hain KHaridaron ke sath
aal-e-musa ne kiya isa ko phir baala-e-dar
hain hawari bhi yahudi sang-dil yaron ke sath
qibla-e-awwal salahuddin-ayyubi ko DhunD
aa mili diwar-e-girya teri diwaron ke sath
ai masiha zahr de lekin na dast-e-ghair se
ye sitam allahu-akbar apne bimaron ke sath
is siyasat ki faza mein sans lena hai azab
dushman apne sath hain aghyar hain yaron ke sath
karbala mein yakka-o-tanha husain-ibn-e-ali
taziye shahron mein hain lakhon azadaron ke sath
dosti ka hashr dekha to khula hum par 'zafar'
hashr mein khul kar karenge dushmani pyaron ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.