subh-e-tarab ko kaun pukare hum ko hai gham ki sham bahut
subh-e-tarab ko kaun pukare hum ko hai gham ki sham bahut
Payam Fatehpuri
MORE BYPayam Fatehpuri
sub.h-e-tarab ko kaun pukāre ham ko hai ġham kī shaam bahut
pahroñ-pahroñ jab dil taḌpe miltā hai ārām bahut
sub.h-e-vasl aur sub.h-e-masarrat sab ke liye kab hotī hai
ham se ġham ke māroñ ko hai maiḳhāne kī shaam bahut
zaḳhm mile aur ḳhanjar bhī kuchh ḳhār-o-sang-o-nashtar bhī
ham ne yaaro shahr-e-vafā meñ paa.e haiñ in.aam bahut
merī taraf se mahloñ-mahloñ jā kar ye paiġhām kaho
mahal kī har dīvār ke pīchhe barpā hai kohrām bahut
ishq payām-e-jidd-o-amal hai ishq jihād-e-zinda-dilāñ
aaj bhī hai har dasht-e-talab meñ ahl-e-junūñ kā naam bahut
kaisī kaisī prem-pujāran zar kī pujāran ban baiThīñ
rāj-mahal meñ kab hai miirā madhuban meñ haiñ shyām bahut
ishq meñ rusvā.ī hai muqaddar 'mīr' hoñ yā vo 'ġhālib' hoñ
ham bhī 'payām' ab kūcha-kūcha ho hī ga.e badnām bahut
subh-e-tarab ko kaun pukare hum ko hai gham ki sham bahut
pahron-pahron jab dil taDpe milta hai aaram bahut
subh-e-wasl aur subh-e-masarrat sab ke liye kab hoti hai
hum se gham ke maron ko hai maiKHane ki sham bahut
zaKHm mile aur KHanjar bhi kuchh KHar-o-sang-o-nashtar bhi
hum ne yaro shahr-e-wafa mein pae hain inam bahut
meri taraf se mahlon-mahlon ja kar ye paigham kaho
mahal ki har diwar ke pichhe barpa hai kohram bahut
ishq payam-e-jidd-o-amal hai ishq jihad-e-zinda-dilan
aaj bhi hai har dasht-e-talab mein ahl-e-junun ka nam bahut
kaisi kaisi prem-pujaran zar ki pujaran ban baiThin
raj-mahal mein kab hai mera madhuban mein hain shyam bahut
ishq mein ruswai hai muqaddar 'mir' hon ya wo 'ghaalib' hon
hum bhi 'payam' ab kucha-kucha ho hi gae badnam bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.