subh kaise hui ghazalon ki
sub.h kaise huī ġhazāloñ kī
raat thī surḳh aañkh vāloñ kī
tīrgī kā galā dabāte hue
saañs ukhaḌne lagī ujāloñ kī
ruuh par jism kī davā.ī lagā
baat rakh iltijā.ī chhāloñ kī
barf pighle to phir safed bahe
aarzū thī chanāb vāloñ kī
ishq-dhūnī ramāo raqs karo
ye rivāyat hai dil-shivāloñ kī
ham moharram-nasīb logoñ par
rut utartī nahīñ gulāloñ kī
subh kaise hui ghazalon ki
raat thi surKH aankh walon ki
tirgi ka gala dabaate hue
sans ukhaDne lagi ujalon ki
ruh par jism ki dawai laga
baat rakh iltijai chhaalon ki
barf pighle to phir safed bahe
aarzu thi chanab walon ki
ishq-dhuni ramao raqs karo
ye riwayat hai dil-shiwalon ki
hum moharram-nasib logon par
rut utarti nahin gulalon ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.