Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

subh ke barah baje raat ka matlab samjhe

Jabbar Wasif

subh ke barah baje raat ka matlab samjhe

Jabbar Wasif

MORE BYJabbar Wasif

    sub.h ke bārah baje raat matlab samjhe

    koī ai kaash mirī baat matlab samjhe

    mere bistar pe paḌī haiñ mirī bhīgī āñkheñ

    us se kah do ki vo barsāt matlab samjhe

    ek shā'ir huuñ yahī nām-o-nasab hai merā

    par yahāñ kaun mirī zaat matlab samjhe

    der se ham pe khule vasf tire shajre ke

    der se ham tirī auqāt matlab samjhe

    zeb-tan maañ ne kar rakkhā hai jiddat libās

    beTī phir kaise rivāyāt matlab samjhe

    bad-‘amal jitne haiñ vo sāhab-e-masnad haiñ yahāñ

    aise meñ kaun mukāfāt matlab samjhe

    ḳhutba zainab ne diyā jab sar-e-darbār-e-yazīd

    nā-samajh tab kahīñ sādāt matlab samjhe

    jis maqsūm safā marva na kā'be tavāf

    kaise 'vāsif' vo bhalā saat matlab samjhe

    subh ke barah baje raat ka matlab samjhe

    koi ai kash meri baat ka matlab samjhe

    mere bistar pe paDi hain meri bhigi aankhen

    us se kah do ki wo barsat ka matlab samjhe

    ek sha'ir hun yahi nam-o-nasab hai mera

    par yahan kaun meri zat ka matlab samjhe

    der se hum pe khule wasf tere shajre ke

    der se hum teri auqat ka matlab samjhe

    zeb-tan man ne hi kar rakkha hai jiddat ka libas

    beTi phir kaise riwayat ka matlab samjhe

    bad-‘amal jitne hain wo sahab-e-masnad hain yahan

    aise mein kaun mukafat ka matlab samjhe

    KHutba zainab ne diya jab sar-e-darbar-e-yazid

    na-samajh tab kahin sadat ka matlab samjhe

    jis ka maqsum safa marwa na ka'be ka tawaf

    kaise 'wasif' wo bhala sat ka matlab samjhe

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now