subh ke jalwon mein poshida sawad-e-sham hai
sub.h ke jalvoñ meñ poshīda savād-e-shām hai
ishq ke āġhāz hī meñ ishq kā anjām hai
jaan de kar ham ne paayā hai sukūn-e-mustaqil
ab vo manzil hai jahāñ ārām hī ārām hai
ġham meñ ḳhush huuñ aur rone kī jagah hañstā huuñ maiñ
ai dil-e-majbūr majbūrī isī kā naam hai
yād-e-jānāñ kī jagah dil meñ hai fikr-e-rozgār
gardish-e-taqdīr bhī ab gardish-e-ayyām hai
tum ko kyā ma.alūm jis ko maut kahtā hai jahāñ
ishq kā āġhāz hai yā ishq kā anjām hai
ḳhaas jalve ḳhaas nazroñ ke liye maḳhsūs haiñ
sirf kahne ke liye izn-e-nazāra aam hai
raunaq-e-mai-ḳhāna 'raunaq' aur ye hāl-e-tabāh
sar pe ḳhāk-e-mai-kada hāthoñ meñ ḳhālī jaam hai
subh ke jalwon mein poshida sawad-e-sham hai
ishq ke aaghaz hi mein ishq ka anjam hai
jaan de kar hum ne paya hai sukun-e-mustaqil
ab wo manzil hai jahan aaram hi aaram hai
gham mein KHush hun aur rone ki jagah hansta hun main
ai dil-e-majbur majburi isi ka nam hai
yaad-e-jaanan ki jagah dil mein hai fikr-e-rozgar
gardish-e-taqdir bhi ab gardish-e-ayyam hai
tum ko kya malum jis ko maut kahta hai jahan
ishq ka aaghaz hai ya ishq ka anjam hai
KHas jalwe KHas nazron ke liye maKHsus hain
sirf kahne ke liye izn-e-nazara aam hai
raunaq-e-mai-KHana 'raunaq' aur ye haal-e-tabah
sar pe KHak-e-mai-kada hathon mein KHali jam hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.